Happy Mother’s Day to all Mothers!!

This poem is though written for my Maasa but I am sure its a feeling every child would feel for his/er mother.

Your pretty smile, your kind eyes, your heart of gold and your healing touch; All you Mothers, you are no less than an angel to this world.

Happy Mothers day.

 

Maasaमाँ! 
याद तो आता नहीं तुम्हारा
गोदी में वो मुझे झुलाना
झुनझुने से मेरा दिल बहलाना
लोरी का वो गुनगुनाना
माथे को प्यार से चूमना
गुदगुदी से हँस हँस हँसाना
उँगली पकड़ चलना सिखाना
Continue reading “Happy Mother’s Day to all Mothers!!”

Hain yehi anth, par yeh anth nahi…

सदियो पुराना पावन यह शहर

गंगा मैया के तट पर बसा यह शहर

दिनभर घूमता और द्रिश्य देखता

जो देखता, उसे जीवन में उतरता.

 

भक्तो का यह शहर सदियो पुराना

जोड़े नया और बीता ज़माना

कल आज और कल के बीच की कड़ी

भूत और भविष्या को पकड़े खड़ी. Continue reading “Hain yehi anth, par yeh anth nahi…”

Phir bhi yaad kar leta hu main!

Maasa-Sou mushkiley hazaro uljhane hain zindagi mein,

Phir bhi tujhe yaad kar leta hu main.

Saans lene ki chahe fursat na mile,

Tera khayal hamesha kar leta hu main.

Kitni bhi thakawat kyun na ho jism mein,

Teri yaad se raahat pa leta hu main.

.

Na shikwa tujhse na hi koi gila zindagi ke saath,

Kehte hain patta bhi nahi hilta uski raza ke khilaf.

Juda kiya tha jisne humein apni marzi se,

Sikha diya usi ne mujhe jeena khushi se.

Saath mere aaj sab zakham bhi hans rahe hain,

Akhir yeh tohfe bhi toh usi ke diye hue hain.

(Dedicated to my Maasa)

Hum Logo Ne……..???????

Image courtesy Google

Hum logo ne apne haviliyo se andhera dur karna jaana,
Kya humne garibo ki basti se andhera dur karna seekha?

Hum logo ne do aur do chaar karna jaana,
Kya humne ek aur ek gyarah karna seekha?

Hum logo ne sankhya jodna to jaana,
Kya humne ghar jodna bhi seekha?

Hum logo ne akshar jodke shabdh bunna to jaana,
Kya humne bhai bhai ko jodkar pariwar bana na seekha?

Hum log akaash ki unchayiyo ko chhu paaye,
Kya humne sanskaar ki unchayiyo ko chhona seekha?

Hum logo ne haath uthana to seekha,
Kya humne haath milana seekha?

********************************************

***********************

********

Kyu woh Kaaba aur Somnath jaate hai.

Mother and Child - My early morning started with this scene!

Maa ke anchal se khelta bachcha,
Na koi shikwa, na shikan Maa ka yeh chehra,
Duniya waalo se mujhe hairat hai,
Kyu woh Kaaba aur Somnath jaate hai.

*****************

Jab upar waale ne banayi yeh duniya,
Har dard ke saath usne dawa banaya,

Aankho ke saath aansu bhi joda,
Har Khushi ke saath hansi ko joda.

Paani banaya to saath ek bada sagar bhi banaya,
Is sagar mein milne aati banayi kayi nadiya.

Akash banaya to neeche saath iske banayi dharti,
Ambar ko chhune ki sabke mann mein aashaye banayi.

Aur jab aise ban gayi duniya,
To isne insano ko banaya.

Saath mein apna hi ek roop banaya,
Jab usne “Maa” ko banaya.

***********************************

****************

******

Nazar Uthaye Jidhar Dekhe……..

A Big pond on one side of the Garden.

Sundays usually I go out and take complete break from regular life for few hours. It could be a drive to any nearby village or forest, or visiting some temple, or maybe whole day trip to Kolkata. And today I visited a rose nursery cum garden here. This was my second visit to the place. Its the season of roses and the whole ambiance was so divine. Made my day after a really tiring and stressful week!!!!

**********************************

***********************

Nazar uthaye jidhar dekhe husn nazar aa raha hai,
Charo aur mausam ka jaadu kahar dhaa raha hai,
Bade naaz se hai muskuraai zameen,
Jhoom ke aasmaan jhuka jaa raha hai,
Kaliyon ne banaya chaman aur haseen,
Fizaaon mein rang ghula jaa raha hai,
Nikhar gayi hai har shai rangini liye,
Phulo se pyaar umadh aa raha hai,
Kudrat ka yeh haseen nazara dekh kar,
Soochta hu kya sooch ke maalik ne yeh sab banaya hai.

Here are few pictures that I took at the garden.

This slideshow requires JavaScript.

*********************************

**********************

**********

Khoya Bachpan….

Image Courtesy Google

Machli Machli si khann khann,
Hai kaisi meethi si chubhan,
Rag rag daure bas kann kann,
Ab to bata de mera khoya bachpan,
Poochhe hai din raat yeh mera mann,
Na jaane kab ho phir se tera janam.

Dhundu tujhe in udti patango mein,
Kabhi khoju jhulti in pedo mein,
Poochu kyu khoyi tu duniya ki bandhan mein,
Kyu na chali tu majhe ki sang sang mein,
Gunje poochhe yehi aaj mere sang sang
Ab to bata de mera khoya bachpan,
Na jaane kab ho phir se tera janam.

Yaad dilaye tu holi ki pichkari,
Aansu laaye bachpan ki woh mahek pyari,
Kaun bhule woh chhuttiyo ki bekari,
Dosto ke sang din bhar ki masti mara mari,
Inki yaade jaise ho bas kal,
Ab to bata de mera khoya bachpan,
Na jaane kab ho phir se tera janam.

******************************

******************

********

Tere Bin…….

Tu ek raktaabh suraj hai,
Ya sipi ke garbh se utra koi moti.
Tu khamosh reh kar bahut kuch kehti hai,
Teri aankhon ke panne sab bayan karte hai.
Teri siron se milti hai jo tanhaiya,
Unki chaayaa mein ham aaj bhi jee lete hain.

Image courtesy Google

Ek jhalak kafi hoti dil ke sukun ke liye,
Tujhe pane ki koshish kya karta apne liye.
Meri aankhen bheegi hai bas ek teri jhalak ke liye,
Tere chehre pe bhi hogi woh pani ki boond jo mere aankho se gire,
Na jaane tu kis bhanwar mein aaj kho gayi hai,
Jaanta hu tujhe chheen kar gamgeen Khuda zaroor hai.

Aaj bhi lori sunney ko betab hai mere kaan,
Sar thap thapaney ko bechain hai mera mann.
Maa teri goud mein sar rakhkar soona chahta hoon,
Subha uthtaa hoon to yateem sa mehsoos karta hoon.
Aankh meel ke dekhta hu mujhe mil jaaye tu kahi,
Tere bin oopri lagti hai mujhe yeh saari zameen.

Maa, tu hai to virana bhi lagta chaman hai
Tere bina to suna yeh ghar aangan hai
Tujhse behtar dil ki baat aur koi na jaan saka
Jab tak tu hai saath to azaad har bandhan hai.

******************************

*****************

******

Dil phir wahi purane dhun gunguna raha hai

Aaj phir wahi mausam chhaa raha hain,
Badal jhukne lagae hai,
Dil phir wahi purane dhun gunguna rahe hain.
Jo pal jo lamhe chale gaye,
Unhe phir se bula rahe hai.
Waqt badal sa gaya hai,
Hum to hain wahin kharae aaj bhi,
Par woh log na jaane kaha kho gaye hai.
Shayad mausam unhe hi bula raha hain,
Wahi boondien wahi baarish,
Saawan bhi aaj wahi dhun gunguna raha hai.
Farq sirf thoda sa hi hai,
Is dafaa yeh aankhon mein boondien la raha hai,
Is dafa yeh palkon ko bhi bhiga raha hai,
Yeh dil phir wahi purane dhun gunguna raha hai.

***********************************

*******************

*******

Aaj Phir Zindagi Par Karaar Aaya Hai.

Zindagi ne humae kabhi to hansaya hai
Kabhi khaufnak chehra dikha ke rulaya hai.

Kayi apne diye hai is zindagi ne humae
To kayi apno ko begana bhi banaya hai.

Zindagi ke kuch palo ne diye gham-e-dil
To kuch ne diya hai mohabbat ka ehsaas.

Kal jab sooch mein baithhe thhe akele hum
Soocha zindagi ke saath kar le do do haath ab.

Par aaj phir zindagi ne apne hone ka ehsaas karaya hai
Nayi subah ki kirno ke saath nayi umang le aaya hai.

Phir se dil mein ek naya umeed ka phool khilaya hai
Lagta hai zindagi ko aaj humpe naaz aaya hai.

Na malum zindagi ko ab mujhse kya chahiye hai
Magar humey zarur zindagi par aaj phir se karaar aaya hai.

*********************************

********************

*******

Happy 60th Republic Day!!!

———–

Nahi bhulegi 23 March,1931, ki wo taareekh,
Jab waqt khud se hi ruk jaane ki maang raha thha bheekh.
Swatantra Bharat ke uday ki kahani ho gayi thhi shuru,
Jab desh ke aanchal mey gehri neend so gaye Bhagat, Sukhdev aur Rajguru.

Yeh un dino ki baat hai jab har peher balidaano se bhare thhe
Ghulam desh mein “azad” jeene waale Azad, “azad” hi mare thhe.
Bachaane ko is desh ki shaan aur aan,
Diye gaye hai aise anginat balidaan.

Jiski Azadi kay liye bhent chadhaa khoon itna.
Kya aisa Bharat tha unn Shaheedo ka sapna?

Ab to desh mera paraya sa lagne laga hai,
Thhi bazuyon me jiski itni taakat,
Woh ab murjhaya sa lagne laga hai.

Hosle hum mein bhi hai,
Hosle tum mein bhi hai.
To mila lo ab dosto haathon se haath.

Poochti hai watan ki mitti tanhaiyo mein,
Kyu tujhe zameen par khof ka saya lagta hai?
Ya to tu nahi kabil is mitti ke,
Ya tu apni hi maut ka maara lagta hai.

To utho aaj, agae badho, yeh to bas shuruyat hai
Samay rath ka pahiya rukta nahi, chalta chala jaata hai,
Jo ruk gaya aaj to sab mitti mein mil sakta hai
Ufaq se awaaz aayi hai, tere desh ko teri zarurat hai.

Mat mitao apne dil se fanah hone ki khwaishein
Mat jhukao jhukane se bhi sarfaroshi ki kainaitein
Aye hind tujhpe hai kurban katra katra is khoon ka
Jismo jaan kya cheez hai, tere liye laaye hai nazrana-e-rooh apna.

———–

Let us remember the golden heritage of
our country and feel proud to be a part of
India and also work hand in hand for its betterment.

HAPPY REPUBLIC DAY

***************************************

*************************

*************

Woh Jhini Jhini Dhoop Bahut Yaad Aati Hai

Yeh subah ki jhini jhini si dhoop,
Aaj mujhe phir un lamho ki yaad dilati hai,
Jab dhoop ki roshni dil sukoon se bharta thha,rays
Jab zindagi kayi rango se bhara huya karta thha.
Dekhu to aaj zindagi chaka-chaundh se bhara hai,
Daulat, shohrat, zindagi ko kisi cheez ki kami nahi hai,
Khami bas ki woh jhini si dhoop kahi kho gaya hai.
Subah to aaj bhi zindagi mein aati hai,
Par aaj zindagi us dhoop ke liye tarapti hai,
Intezaar mein ab to subah zindagi se rukhsat ho gayi hai,
Aur shaam zindagi ki rafiki ban gayi hai.
Ek aisi aag lagati hai aaj yeh subah ki dhoop,
Aankho ke chand aansu nahi kaafi bujhane ke liye,
Yeh woh subah hai jis pahar ke intezaar mein,
Zindagi bhi yakeenan kam par jaati hai,
Magar phir bhi woh jhini jhini dhoop bahut yaad aati hai.

**************************************

************************

************

Bas ek baar koshish karke dekh tu

Dard ki sulagti Aanch par gam ko ubaal tu,
Dil mein na galat vehmo ko paal tu.
Saamne manzil aur sunhara aasmaan hai,
Kaat de chaaron taraf bune ye jaal tu.
Ye Zamana na tere haath aayega,
Madaari ban dikha koi kamaal tu.
Ek chhed hai kaafi paani girane ko,
Ek patthar aasmaan ki aur uchhaal to tu.
Nanhe ankur aaj nahi to kal niklenge,
Bas ek lota jal isme daal ke dekh tu.

***************************

********************

**********

***

Zindagi ke is Safar Mein…

Kal zindagi ne kahaan muskurate huye,walking_alone1
Arae mil to jao kabhi aate jaate huye!!!

Woh bhi shayad pasheman thha meri tarah,
Chalo mud ke dekha to thha usne jaate huye!!!

Suno, insaan ki hai bahut si majburian,
Yeh kaha thha usne mujhko jaate huye!!!

Arae apne waade pe jinko bahut naaz thha,
Unko bhi dekha bahane banate huye!!!

Aakhirkar aaj hum rishto ke manzil pe aa hi gaye,
Kuch dagmagate huye, kuch ladkharate huye!!!

Lekin is chhote se safar mein aaj malum ho gaya,
Saath chalte musafiro mein kaun apna kaun paraya!!!

******************

***********

****

Zindagi Kya Hai

Zaraa bahar thoda niklo, ghatao mein naha kar dekho,
Zindagi asliyat mein kya hai kitabo ko hata kar dekho,

Woh sitara hai chamakne do yunhi ankhon mein,
Chhodo ab!! Kya zaroori hai isey jism bana kar dekho.

Patharoo mein bhi zubaan hoti hai, dil hote hain,
Apne ghar ki dar-o-divar thoda saja kar to dekho.

Fasla nazro ka dhooka bhi to ho sakta hai,
Woh miley ya na miley hath barha kar to dekho.

********************