Kanha to bik jaata hai, Pyaar ke do bol se!

 

001

Maakan churakar jisne khaaya, Bansi bajakar jisne nachaya
Kanha hai uska naam, Brijwasiyo ka dil jisne lubhaya

——————————–

001a

Ek haath mein murli sohe, Duje haath chakra sudarshan
Kanha hi hain jinke ungli pe, Naache vishaal Govardhan.

——————————–

002

Jiski sapt bhrikuti ke dar se, Sapt sagar uchhalte dekha
Usko Maa Yashoda ke bhay se, Ashru drigh dhalte dekha.

——————————–

003

Jiski keval kripa drishti se, Sakal vishva ko palte dekha
Usko Gokul mein makhan pe, sabne baar baar machalte dekha.

——————————–

004

Mor mukut kaano mein kundal, Chehre pe muskaan liye
Sabke mann ko mohne waala, Mera Shyaam anokha hain.

——————————–

005

Hota hain pyaar kya, Yeh duniya ko jisne bataya hain
Dil ke rishto ko prem se sajana, Isine humko sikhaya hain.

——————————–

006

Hamara Kanha, jise koi khareed nahi sakta soone se bhi tol ke
Hamara pyaara Kanha to bik jaata hai, Pyaar ke do bol se!

——————————————————————–

baby-krishna-childhood-images

Murli Manohar Brij ke dharohar, Murli ki dhun pe jhoom uthe yeh bahar
Kanha jinka naam, Gokol jinka dhaam, Shri Krishna Bhagavan ko,
Hum sabka pranam.

Jai Shri Krishna!

***********************

*****************************************

*************************************************************

5 thoughts on “Kanha to bik jaata hai, Pyaar ke do bol se!

Leave a comment