Zindagi!!!!

Zindagi ki Kitaab

Zindagi Ki Yeh Jo Kitaab Hai
Yeh Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai.
Kahi Ek Hasseen Sa Khwaab Hai
Kahi Jaan Lewa Aazaab Hai.
Kahin Aansuo Ki Hai Dastaan
Kahin Muskurahato Ka Bayaan.
Kayi Chehre Is Mein Chupe Huwe
Ek Aajeeb Sa yeh Naqaab Hai.
Kahin Kho Diya, Kahin Pa Liya
Kahin Ro Liya, Kahin Ga Liya.
Kahin Chheen Leti Hai Har Khushi
Kahin Meharbaan Behissab Hai.
Kahi Chhaon Hai Kahi Dhoop Hai
Kahi Aur Hi Koi Roop Hai.
Kahi Barkaton Ki Hain Barishein
Kahi Tashnagi Behissaab Hai.
Hamari Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai
Yeh Bhi Kya Kitaab hai

Chalte Rehna Thha

Adat nahi Baith ke rehne ki, so chalta gaya
Waqt ne jo bhi kaha, karta gaya
Raah mein rukawate jo aaye, unhe
Ya to hata dala, ya khud hat gaya.

Yeh nahi kehta theek hu main
Galtiyan mujhse huyi hain
Lekin dusron ki galtiyon ko dekhkar
Galtiyan apni sudharta gaya.

Jo munasib samjha, kiya – paya – diya
Jo na tha mumkin, usko apna liya.
Kashmakash maujood thi apni jagah
Hausala apni jagah badta gaya.

Is tarah is zindagi ki Rah mein
Bas bina ruke chalta gaya main.

*****************************************************************************

3 thoughts on “Zindagi!!!!

Leave a comment